Guzar auqaat naheen ho paati
Din se ab raat naheen ho paati
Saari duniya main bas ik tum hi sey
Ab mulaaqaat naheen ho paati
Jo dharakti he merey dil main kaheen
Aik wohi baat naheen ho paati
Jama karta hoon aankh main paani
Phir bhi barsaat naheen ho paati
Laakh mazmoon tarashiyaan kar loon
Aur munajaat naheen ho paati
Haath main haath liye phirti hey
Khatam ye raat naheen ho paati
Enjoy!!!!!!!!!!!!

















