Us ney kaha mujh sey tumhain kitna piyar hey??
Main ney kaha sitaaron ka koi shumaar hey??
Us ney kaha key kon tumhain hey bohat azeez?
Main ney kaha merey dil pey jisey ikhtiyaar hey
Us ney kaha kon sa Tohfa tumhain main doon?
Main ney kaha woh shaam jo ab tak udhar hey
Us ney kaha khizan main mulaqat ka jawaaz...??
Main ney kaha key qurb ka matlab bahaar hey
Us ney kaha senkron gham zindagi main hain
Main ney kaha key gham nahin jab ghamgusar hey
Us ney kaha saath kahan tak nibhaao gey...?
Main ney kaha jitna yeh saanson ka taar hey
Us ney kaha mujh ko yaqeen aaye kis tarah
Main ney kaha key naam mera aitbaar hey....

















